Friday, 19 December 2014

Sapnaa Shaayar Kaa .....



Sapnaa Shaayar Kaa .....


Sher shayar tum hummey bola
Chhathi chhappan mera phoola,
Bhar gayaa madira ka pyaala
Dil e daastaan.. doston ka mela..



Pahunche hum saathwa aasmaan
Pariyonke beech kya broker ka makaan,
Andar hi andar khoob woh pareshaan
welcome toh kiya with a muskaan ..


Hum hai naami shayar e sher
bhadhao apna keemat e share,
Hua khoob woh behad bekarar
Par kya, hum hai uska customaar.. 


Yeh Hai share ka Bazaar
Koi kavi sammelan nahin,
Chalte yahan sikke huzoor
Khote ke liye  jagah nahin.. 


Shabdon ka hi balwan nahi koi dhanwan,
Tapak pade neeche yaha, vartamaan
Yeh Duniya hai beimaan,
Kya ho raha hai Bhagwan ..  


Chalta phira yeh  dhan ke bhrami
Saamne yeh kaun  Padmanabha Swamy!
Aankhen toh huyi namee namee
Richest God,  kya inhe kamee ! 


Dhan ki pyaas ne udaayi teri neendi
Dhan hi toh banaya mujhe  yahaa bandhi,
Leja jitna jholi bhar bhar ke
Par Vinod Rai ji ko jaroor bataake.. 


Jai lalita, Jai Padmanabha.. sabhi pukare
Dono apne bhakto ke dulare,
Bandhi dono, poore pehre
Jai ho Prabhu, kya  adbhut leela tere... 


'Jai Hind Saab' jor se woh bola
Neend aur darwaza dono khola,
Haath Mein garam chai ka pyaala
Shuru hua naya din ka mela... 


Naya din ka mela..  naya naya khela  ........

***************************************** 


1 comment: